vo samajhta hai use jo raz-dar-e-naghma hai
aah kahte hain jise sirf ik sharar-e-naghma hai
munhasir jis par azal se karobar-e-naghma hai
dard ki ankhon men vo ḳhvab-e-bahar-e-naghma hai
zinda rahne ki tamanna ho to phir kya kuchh na ho
dil ke sannaTe pe mujh ko e’tibar-e-naghma hai
kis se kiije aur kyuun kiije bayan-e-soz-e-dil
ye bhari duniya to yaaro pasdar-e-naghma hai
aur bhi do-gam ai mahrum-e-aish-e-zindagi
hadd-e-girya se zara aage dayar-e-naghma hai
naghma-zan huun yuun ki yaron ka bharam qaa.em rahe
varna mahfil ki faza na-saz-gar-e-naghma hai
ab hai lahje men nukila-pan labon par zahr-e-ḳhand
ab yaqin aaya ki ‘nazish’ raz-dar-e-naghma hai
Leave a Reply