ujala jab shab-e-zulmat par utarta hai
vo harf harf miri zaat par utarta hai
us ek rang pe qurban dil ke sab mausam
jo rang shiddat-e-jazbat par utarta hai
vo ḳhvab-gah ki raunaq vo chand jaisa badan
kabhi hayat kabhi zaat par utarta hai
suḳhan-varan-e-kuhan us pe rashk karte hain
jo dard parcha-e-abyat par utarta hai
kabhi-kabhar to suqrat ki rida ban kar
shu.ur-e-fikr tilismat par utarta hai
Leave a Reply