ufuq pe dudhiya saaya jo paanv dharne laga
muhib raat ka shiraza hi bikharne laga
tamam umr jo laḌta raha mire andar
mira zamir hi mujh se farar karne laga
safar men jab kabhi la-samtiyon ka zikr hua
hamara qafila tul-e-safar se Darne laga
sulag raha hai kahin duur dard ka jangal
jo asman pe kaḌva dhuan bikharne laga
chaḌhi nadi ko main payab kar ke kya aaya
tamam shahr hi dariya ke paar karne laga
ajiib karb se guzra hai jugnuon ka julus
kahan Thaharna tha is ko kahan Thaharne laga
hamare saath rahi hai safar men be-ḳhabari
junun men soch ka imkan kaam karne laga
bahut ajiib hai batin ki gumrahi ai ‘rind’
sukut-e-zahiri TukḌon men tha bikharne laga
Leave a Reply