udaas udaas sar-e-saghar-o-subu bhi main
yam-e-nashat ki ik mauj-e-tund-ḳhu bhi main
mujhi men gum hain ka.i tirgi-ba-kaf raten
ziya-farosh sar-e-taq-e-arzu bhi main
mujhi se qa.em-o-da.em hain ghar ke sannaTe
tumhari bazm-e-tamanna ki hav-hu bhi main
mire hi zaḳhm-e-tamanna men sau tarah ke rang
bhari bahar men mahrum-e-rang-o-bu bhi main
jo raah chalte miri samt aankh bhi na uTha.e
usi ki bazm ka mauzu-e-guftugu bhi main
jise sanvar ke ḳhud bhi bikharta jaata huun
us ek gauhar-e-sad-zau ki aabru bhi main
kuchh aise taur se chamka hai dil ka dagh-e-shikast
ki aaj tak nahin hasrat-kash-e-rafu bhi main
nazar men tere har andaz ko saja.e hue
misal-e-a.ina bhi main lahu lahu bhi main
main aaj saz-e-dil-o-jan pe ga.un kaun sa giit
tumhare paas bhi duniya ke ru-ba-ru bhi main
tumhari barham se uThne ka bhi ḳhayal mujhe
zara si der Thaharne ka hila-ju bhi main
ḳhud apne aap se aisa bichhaḌ gaya huun ‘nasim’
ki ab maqam bhi manzil bhi justuju bhi main
Leave a Reply