• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Udas Kaghzi Mausam Mein Rang O Bu Rakh De

Udas Kaghzi Mausam Mein Rang O Bu Rakh De

udaas kaghzi mausam men rang o bu rakh de

har ek phuul ke lab par mira lahu rakh de

zaban-e-gul se chaTanen tarashne vaale

nigar o naqsh men asa.ish-e-numu rakh de

suna hai ahl-e-ḳhirad phir chaman saja.enge

junun bhi jeb o gareban pa-e-rafu rakh de

shafaq hai phuul hai dipak hai chand bhi hai magar

unhin ke saath kahin saghar o subu rakh de

chala hai janib-e-mai-ḳhana aaj phir vaa.iz

kahin na jaam pe lab apne be-vazu rakh de

tamam shahr ko apni taraf jhuka lunga

gham-e-habib mire sar pe haath tu rakh de

giran lage hai jo ehsan dast-e-qatil ka

uTh aur tegh ke lab par rag-e-gulu rakh de

ḳhuda kare mira munsif saza sunane par

mira hi sar mire qatil ke ru-ba-ru rakh de

samundaron ne bulaya hai tujh ko ai ‘bekal’

tu apni pyaas ki sahra men aabru rakh de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hayat Raqs Mein Hai Kaenat Raqs Mein Hai

Usne Dekha Jo Mujhe Aalam-E-Hairani Mein

Ehsan Le Na Himmat-E-Mardana chhoD Kar

Rahguzar-Bashon Ko Sae Ki Bhi Kya Hajat Nahin

Usko Hai Ishq Batana Bhi Nahin Chahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet