ubuur kar na saka main ghurur dariya ka
hai surḳhiyon men barabar qusur dariya ka
kisi palak men nami tak nahin rahi baaqi
chala gaya kahan chehron se nuur dariya ka
har ek mauj ki hai nabz mere hathon men
mere shu.ur men zam hai shu.ur dariya ka
har ek harf se ik tishnagi si risti hai
ahata karti hain kya ye sutur dariya ka
baja nahin hai ki us ne Dubo diya mujh ko
badan pe daagh laga hai zarur dariya ka
miri ana hi banegi barasne vaali ghaTa
ye ḳhali kuuze se hoga zuhur dariya ka
Leave a Reply