TuuT kar ahd-e-tamanna ki tarah
mo’tabar ham rahe farda ki tarah
shauq-e-manzil to bahut hai lekin
chalte hain naqsh-e-kaf-e-pa ki tarah
ja milenge kabhi gulzaron se
phailte ja.enge sahra ki tarah
dekh kar hal-e-pareshan apna
ham bhi hans lete hain duniya ki tarah
kabhi payab kabhi tufani
ham bhi hain dasht ke dariya ki tarah
mahfil-e-naz men rahiye lekin
dekhiye chashm-e-tamasha ki tarah
apne dushman se huun vaqif ‘tabish’
kisi derina shanasa ki tarah
Leave a Reply