• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun

Kyun Aankhen Band Kar Ke Raste Mein Chal Raha Hun

kyuun ankhen band kar ke raste men chal raha huun

kya main bhi rafta rafta patthar men Dhal raha huun

charon taraf hain shole ham-sa.e jal rahe hain

main ghar men baiTha baiTha bas haath mal raha huun

mere dhuen se meri har saans ghuT rahi hai

main raah ka diya huun aur ghar men jal raha huun

ankhon pe chha gaya hai koi tilism shayad

palken jhapak raha huun manzar badal raha huun

tabdiliyon ka nashsha mujh par chaḌha hua hai

kapḌe badal raha huun chehra badal raha huun

is faisle se ḳhush hain afrad ghar ke saare

apni ḳhushi se kab main ghar se nikal raha huun

in pattharon pe chalna aa ja.ega mujhe bhi

Thokar to kha raha huun lekin sambhal raha huun

kanTon pe jab chalunga raftar tez hogi

phulon bhari ravish par bach bach ke chal raha huun

chashme ki tarah ‘alam’ ash.ar phuTte hain

koh-e-giran ki surat men bhi ubal raha huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Gardish-E-Chashm-E-Yar Ne Mara

Subh-E-Azal Se Sham-E-Abad Tak Aana Jaana Hota Hai

poet

Zikr-E-Bahaar Bhi Raha Zikr-E-KHizan Ke Sath

Wo Jo Surat Thi Sath Sath Kabhi surKH Mahke Gulab Ki Surat

Aankh Jo Nam Ho Wahi Dida-E-Tar Mera Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet