tuur par kya munhasir hai jis taraf jaata huun main
tere jalve ki jhalak har chiiz men paata huun main
alam-e-ghurbat men tanha.i se ghabrata huun main
yad-e-ahbab-e-vatan se dil ko bahlata huun main
haa.e masti men nahin rahta zaban par iḳhtiyar
baton baton men na kahne ki bhi kah jaata huun main
ai adam ke jaane vaalo koi dam ki der hai
musta.id huun main bhi aane ke liye aata huun main
manzil-e-maqsud tak pahunchun yahi dhun hai mujhe
dam nahin leta kahin baḌhta chala jaata huun main
muḳhtasar rudad hai ye be-qarari ki miri
ḳhud taḌap kar dekhne valon ko taḌpata huun main
kya kisi ka husn hai gharat-gar-e-tab-o-tavan
dekhte hi ik jhalak behosh ho jaata huun main
meri hasti un ki mahfil men garan-ḳhatir nahin
surat-e-bad-e-saba jaata huun main aata huun main
de rahe hain kya mujhe jiine ke ta.ane baar baar
na-munasib hai mira jiina to mar jaata huun main
ahl-e-mahfil ko sunata huun mazamin-e-bahar
tab-e-rangin ke zariye phuul barsata huun main
garche qatra tha magar dariya men milne ke siva
mauj ban kar sat.h par dariya ki lahrata huun main
bar-e-ḳhatir hai agar mahfil men mera baiThna
kaisi mahfil lo zamane se uTha jaata huun main
dar-haqiqat mere haq men maut ka paigham tha
un ka ye kahna ḳhuda-hafiz tira jaata huun main
naḳhun-e-tadbir se taqdir ka leta huun kaam
apni har uljhi hui gutthi ko suljhata huun main
meri istid.a pe mujh ko Talne ke vaste
kah diya zalim ne achchha tum chalo aata huun main
qaum par ho kar tasadduq qaum par ho kar nisar
ghaziyan-e-qaum ki tariḳh dohrata huun main
kyuun na ho ‘sabir’ mire sher-o-suḳhan men puḳhtagi
mo’taqid jab hazrat-e-‘nasiḳh’ ka kahlata huun main
Leave a Reply