tum ko bhula rahi thi ki tum yaad aa gae
main zahr kha rahi thi ki tum yaad aa gae
kal meri ek pyari saheli kitab men
ik khat chhupa rahi thi ki tum yaad aa gae
us vaqt rat-rani mire suune sahn men
khushbu luta rahi thi ki tum yaad aa gae
iman janiye ki ise kufr janiye
main sar jhuka rahi thi ki tum yaad aa gae
kal shaam chhat pe mir-taqi-‘mir’ ki ghazal
main gunguna rahi thi ki tum yaad aa gae
‘anjum’ tumhara shahr jidhar hai usi taraf
ik rail ja rahi thi ki tum yaad aa gae
Leave a Reply