tumhen koi ḳhabar hai na pata hai
mire andar koi ab tak chhupa hai
tumari dastaken sab ra.egan hain
kahan darvaza is ghar men laga hai
miri ungli men vo chhalla nahin hai
tumhare naam ka bas da.era hai
samundar men vahi tufan hai phir
ki dariya apna hissa mangta hai
koi puchhe to kya batla.unga main
jo dushman hai vo hi to ham-nava hai
Leave a Reply