Badan Ko Chhu Len Tere Aur surKH-Ru Ho Len

badan ko chhū leñ tire aur surḳh-rū ho leñ

bikharnā hī hai to ham kyuuñ na mushkbū ho leñ

chaleñ haiñ ishq kī karne agar ibādat ham

bahā ke ashk zarā pahle bā-vazū ho leñ

chhupā ke ḳhvāboñ ḳhayāloñ ko dil ke goshe meñ

zarā sī der haqīqat se rū-ba-rū ho leñ

baras ga.e to bhalā aab ke sivā kyā haiñ

un āñsuoñ kī hai qīmat kī jo lahū ho leñ

kitāb-e-dil ko varaq-dar-varaq dikhā deñge

zarā ham aap se tum aur tum se tū ho leñ

na mujh meñ maiñ hī rahūñ aur na tujh meñ tū hī rahe

mileñ kuchh aise ki donoñ hī hū-ba-hū ho leñ

safar vafā kā adhūrā adhūrā hai jaan lo ‘nāyāb’

ki jab talak na dil-o-jāñ lahū lahū ho leñ

Leave a Comment