tumhen gila hi sahi ham tamasha karte hain
magar ye log bhi kya kam tamasha karte hain
dikhai dete nahin avvalan mire darvesh
kahin milen to ba-raqsam tamasha karte hain
ye khaas bhiid hai marhum badshahon ki
yahan sikandar-e-azam tamasha karte hain
sharik-e-kar-e-ibadat nahin rahe ki ye log
darun-e-majlis-e-matam tamasha karte hain
bas ek paanv thirakta hai rat-din mujh men
chahar-su kai aalam tamasha karte hain
khula hai aaj bhi us khanqah-e-ishq ka dar
malang aaj bhi paiham tamasha karte hain
tuyur dekhne aate hain meri ek jhalak
hazar bargad-o-shisham tamasha karte hain
ye shahr majma-e-khali se gar nahin hai khush
to aao mil ke azizam tamasha karte hain
kuchh aise log hain mere bhi milne vaale log
jo bar-janaza-o-chihlum tamasha karte hain
Leave a Reply