• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dosto Tumne Bhi Dekhi Hai Wo Surat Wo Shabih

Dosto Tumne Bhi Dekhi Hai Wo Surat Wo Shabih

dosto tum ne bhi dekhi hai vo surat vo shabih

jo nigahon men sama jaati hai manzar ki tarah

mujh ko ik qatra-e-be-faiz samajh ke na guzar

phail ja.unga kisi roz samundar ki tarah

shahr-ashob men chizon ka koi qaht nahin

zaḳhm milte hain dukanon men gul-e-tar ki tarah

apne hathon ki lakiron men nahin hai shayad

haa.e vo zulf jo khul jaa.e muqaddar ki tarah

mujh se itrao na yaaro ki mujhe hai ma.alum

aap ka ghar ki shikasta hai mire ghar ki tarah

dil ne kuchh ḳhvab to dekhe the magar kya kiije

vo bhi gum ho ga.e talab men patthar ki tarah

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

siraj-aurangabadi

Ishq Ne Khun Kiya Hai dil Jis Ka

poet

Sine Mein Aag Aankh Su-E-Dar Lagi Rahe

KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain

abdul-mannan-tarzi

Subh Safar Aur Sham Safar

poet

KHalish-E-Nihan Ki Wo Lazzaten Tumhein Yaad Hon Ki Na Yaad Hon

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet