tumhen ab yaad aa.i hai miri kya
Thikane lag ga.i avargi kya
charaghon ko bujhate phir rahe ho
tumhara mas.ala hai raushni kya
tumhi shamil nahin jab zindagi men
bhala ham kya hamari zindagi kya
tumhara tajraba kya kah raha hai
karoge phir kisi se dosti kya
isi duniya men tum ho aur main bhi
to ab mumkin nahin hai vapsi kya
ḳhuda maane hue ho ek but ko
karoge ab usi ki bandagi kya
nazar rakhte ho chuzon par hamesha
tumhari bhi nazar hai chiil si kya
muqaddar so raha hai jaane kab se
use ghere hue hai nisti kya
izafa ho raha hai dushmanon men
musibat ban rahi hai sha.iri kya
fasilen toḌ kar nikli ho ghar se
tumhen karna hai ‘raḳhshan’ ḳhud-kushi kya
Leave a Reply