tumhari yaad men aise bhi din guzare hain
ki baar baar tumhen bas tumhen pukare hain
para.e ḳhair para.e hain un ka kya shikva
hamare apne hi dushman bane hamare hain
hamara jo bhi karo ab tumhari marzi hai
ki ham hamare nahin ab to ham tumhare hain
tumhare hijr men har raat yuun guzarti hai
ki ham akele hain chanda hai aur sitare hain
ye jang hai ki mohabbat hai kya hai kya malum
sabhi se jiit ga.e ham tumhin se haare hain
Leave a Reply