tumhare lams ko ḳhud main utaar sakta huun
main apne aap ko yuun bhi sanvar sakta huun
vo saans saans men ghulne laga hai yuun mere
main por por se us ko pukar sakta huun
mire ḳhayal ki taqat se tum nahin vaqif
zamin par main falak bhi utaar sakta huun
mire mizaj ki shiddat se tum to vaqif ho
tumhen main apna bana kar bhi haar sakta huun
agar jo izn-e-mohabbat mujhe mile ‘sa.im’
main rome rome tira bhi nikhar sakta huun
Leave a Reply