Tumhaare Baad Tumhi Tum Rahe Ho Aankhon Mein

tumhāre ba.ad tumhī tum rahe ho āñkhoñ meñ

tumhārī to mire ḳhvāboñ talak rasā.ī rahī

sab ās-pās the lekin nazar nahīñ aa.e

ta.alluqāt pe itnī smog chhā.ī rahī

tirī ḳhudā.ī ko ham dekh hī nahīñ paa.e

ki ham pe to tire bandoñ hī kī ḳhudā.ī rahī

safar kaTe ki nahīñ naqsh-e-pā rahe lekin

ḳhayāl-o-ḳhvāb rahe rañgat-e-hinā.ī rahī

ye kaisā ḳhvāb thā ‘zīshān’ zindagī apnī

ye kaisī dhun mire chāroñ taraf samā.ī rahī

Leave a Comment