• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tum Agar do Na Pairahan Apna

Tum Agar do Na Pairahan Apna

poet

tum agar do na pairahan apna

charkh se maang luun kafan apna

aage karte the is tarah pamal

yaad to kijiye chalan apna

aaj ham jaan dene aae hain

kuchh dikhate ho bankpan apna

shana zulfon men vaan nahin uljha

saanp dikhla raha hai phan apna

yaad rakhiyo hamari pamali

bhuliyo mat kabhi chalan apna

ya kaho ham kuen men duub maren

ya dikhao kucha-e-zaqan apna

ham vo bulbul nahin jo baagh ko jaaen

kucha-e-yar hai chaman apna

ham ko dikhla ke tang karte hain

gah kamar apni gah dahan apna

jis ko kahte hain log shahr kada

ai ‘sakhi’ hai vahi vatan apna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai

poet

KHwab Rangon Se Bani Hai Yaad Taza

abdul-ahad-saaz

Eid Us Pari-Wash Ki

Pas-E-Adab Mein Josh-E-Tamanna Liye Hue

Wo Mujhko Dekh Na Pae Main Mustaqil Dekhun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet