tujh se mile baghair ye mujh ko pata na tha
vasl-o-firaq kya hai ye main janta na tha
azad ho gaya main jahan ke ḳhayal se
lekin tira ḳhayal mujhe chhoḌta na tha
main us ko dekhta tha baḌe ishtiyaq se
lekin kabhi vo meri taraf dekhta na tha
tum kya ḳhafa hue ki ḳhafa ho gaya jahan
jab tum ḳhafa na the to koi bhi ḳhafa na tha
ik teri yaad hi thi miri manzil-e-talab
varna safar men koi mira rahnuma na tha
mahrumiyan likhi thiin hamare nasib men
dil par hamare harf-e-masarrat likha na tha
‘ma.asum’ ye bhi apne muqaddar ki baat hai
un ka mila suragh to apna pata na tha
Leave a Reply