duur se hi bas dariya dariya lagta hai
duub ke dekho kitna pyasa lagta hai
tanha ho to ghabraya sa lagta hai
bhiid men us ko dekh ke achchha lagta hai
aaj ye hai kal aur yahan hoga koi
socho to sab khel-tamasha lagta hai
main hi na manun mere bikharne men varna
duniya bhar ko haath tumhara lagta hai
zehn se kaghaz par tasvir utarte hi
ek musavvir kitna akela lagta hai
pyaar ke is nashsha ko koi kya samjhe
thokar men jab saara zamana lagta hai
bhiid men rah kar apna bhi kab rah paata
chand akela hai to sab ka lagta hai
shakh pe baithi bholi-bhali ik chidiya
kya jaane us par bhi nishana lagta hai
Leave a Reply