fursat-e-hijr meñ kuchh kār-e-tamāsha hī sahī
tū nahīñ mujh ko mayassar to ye duniyā hī sahī
maiñ kisī rahm-o-karam par to nahīñ terī tarah
ziist kī raah pe ab chāhe maiñ tanhā hī sahī
qarya-e-ġhair meñ alfāz kā dam ghaTtā hai
fart-e-iz.hār ke pal apnā ilāqa hī sahī
pahle baḌh-chaḌh ke mohabbat meñ kiyā vaqt basar
ab zabūñ-hālī-e-jazbāt meñ itnā hī sahī
jaane vaale tū koī ik to bharam rahne de
kuchh na kuchh dil ke liye hāsil-e-rafta hī sahī
sarsarī rañj pe bantā hai hasan zabt magar
is bahāne se chalo varzish-e-girya hī sahī