tu sub.h-dam na naha be-hijab dariya men
paḌega shor ki hai aftab dariya men
chalo sharab piyen baiTh kar kinare aaj
ki hove rashk se maahi kabab dariya men
tumhare munh ki safa.i o ab-dari dekh
baha hai sharm se moti ho aab dariya men
main is tarah se huun mehman sara-e-duniya men
ki jis tarah se hai koi hubab dariya men
jahan ke bahr men har mauj buujh sail-e-fana
bana na ghar ko tu ḳhana-ḳharab duniya men
kabhu jo alam-e-masti men tum ne ki thi nigah
baja.e aab bahe hai sharab dariya men
main ab-e-chashm men huun gharq mujh ko niind kahan
kahin kisu ko bhi aaya hai ḳhvab dariya men
agar hai ilm jo tujh ko amal ke dar pe ho
vagarna shaiḳh Duba de kitab dariya men
sanam ki zulf ki lahron ke rashk se ‘hatim’
nahin ye mauj ye hai pech-o-tab dariya men
Leave a Reply