• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kabhi Hai Aaj Aur Kal Kabhi Hai Bhala Ye Ahd-E-Visal Kya Hai

Kabhi Hai Aaj Aur Kal Kabhi Hai Bhala Ye Ahd-E-Visal Kya Hai

kabhi hai aaj aur kal kabhi hai bhala ye ahd-e-visal kya hai

ho va.ada iifa ki tark-e-ulfat ye roz-marra ki Taal kya hai

zaban bigḌi hai aap hi ki hamara nuqsan kya hai is men

zara tumhin puchhun dil se apne bhala ye tarz-e-maqal kya hai

jo manga ik bosa main ne un se to bole kya tu saḌi hua hai

zara ye baten suno to logo javab kya hai saval kya hai

unhen sar-e-rah akela pa kar ye bola chhati se main laga kar

ki ab to farma den banda-parvar visal men qil-o-qal kya hai

hain tark-e-ulfat men ham bhi raazi ye kah do be-khaTke us sanam se

buton ka is hind ki zamin par ḳhuda ki rahmat se kaal kya hai

kaḌa rakhe aadmi jo dil ko to jhel le har kaḌi ko asan

bandhi hui ho jo apni himmat to kaam koi muhal kya hai

ye kaisi hain ThanDi sansen ‘kaifi’ kahin to aaya hai aap ka dil

ye munh nikal aaya kyuun zara sa bata.iye to ki haal kya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashar-nawaz

Aahat Pe Kan dar Pe Nazar Is Tarah Na Thi

ahmad-tariq

dar Ke Baitha Hun Sar-Nigun Wahshat

Waqt Ke Rangin Gul-Daste Ko Yaad Aaega ThanDa Hath

Dair Mein Ya Haram Mein Guzregi

Hamare Doston Mein Koi Dushman Ho Bhi Sakta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet