tujh se girvida yak zamana raha
kuchh faqat main hi mubtala na raha
aap ko ab hui hai qadr-e-vafa
jab ki main la.iq-e-jafa na raha
rah-o-rasm-e-vafa vo bhuul ga.e
ab hamen bhi koi gila na raha
husn ḳhud ho gaya gharib-navaz
ishq muhtaj-e-ilteja na raha
bas-ki nazzara-soz tha vo jamal
hosh-e-nazzargi baja na raha
main kabhi tujh se bad-guman na hua
tu kabhi mujh se ashna na raha
aap ka shauq bhi to ab dil men
aap ki yaad ke siva na raha
aur bhi ho ga.e vo ghafil-e-ḳhvab
nala-e-sub.h-e-na-rasa na raha
husn ka naaz ashiqi ka niyaz
ab to kuchh bhi vo majra na raha
ishq jab shikva sanj-e-husn hua
iltija ho ga.i gila na raha
ham bharose pe un ke baiTh rahe
jab kisi ka bhi aasra na raha
mere gham ki hui unhen bhi ḳhabar
ab to ye dard la-dava na raha
aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha
ho ga.e ḳhatm mujh pe jaur-e-falak
ab koi morid-e-bala na raha
jab se dekhi abul-kalam ki nasr
nazm-e-‘hasrat’ men bhi maza na raha
Leave a Reply