tufan samajh liya kabhi sahil bana liya
ai shauq-e-be-aman tujhe manzil bana liya
ab jism-o-jan-e-naz pe TuTen qayamaten
us se gurez kya jise hasil bana liya
kuchh intiha-e-shauq ke the silsile ajab
mushkil nahin tha jo use mushkil bana liya
jis din ki intizar tha karna nahin kiya
ḳhud ko mizaj-e-yar ke qabil bana liya
us raah par chale jo zamane se haT ke thi
aur kar-e-zindagi tujhe mushkil bana liya
chhoḌa nahin bana.e bana zimme jo bhi tha
phir bhi nahin kuchh aisa ki be-dil bana liya
jab chaha ai samay tujhe raunaq se kaaT kar
ḳhalvat-nashini-e-shab-e-mahfil bana liya
paani hi kya hava bhi nahin e’tibar ki
ye jaan kar Thikana sar-e-gil bana liya
Leave a Reply