tu miri ibtida tu miri intiha main samundar huun tu sahilon ki hava
teri manzil bane mera har rasta main samundar huun tu sahilon ki hava
roz-o-shab mauj-dar-mauj huun dar-ba-dar roz-o-shab sahilon par paTakta huun sar
haath aata nahin phir bhi daman tira main samundar huun tu sahilon ki hava
meri shoridgi ke ye tufan sab meri ḳhamoshiyon ke ye arman sab
kuchh nahin ik tiri aarzu ke siva main samundar huun tu sahilon ki hava
tu hi manzil miri tu hi had hai miri tujh se vabastagi nam-zad hai miri
tu na ho gar to main ḳhud men kho ja.unga main samundar huun tu sahilon ki hava
ḳhushbuon se tiri ye mahakta safar yuun hi jaari rahega mire auj par
tu masafat miri main tira rasta main samundar huun tu sahilon ki hava
Leave a Reply