ishq men dil ka ye manzar dekha
aag men jaise samundar dekha
kho ga.e ham tiri aahaT pa kar
ya.ani avaz ko sun kar dekha
jis ko sun kar na yaqin aa.e kabhi
fi-zamana vahi aksar dekha
na-rasa.i-e-junun mohkam hai
ham ne divar men dar kar dekha
dil pe ik naqsh-e-kaf-e-pa ubhra
ek sahra men gul-e-tar dekha
main vo momin huun ki jis ne patthar
kabhi chuma kabhi chhu kar dekha
Duub jaane ka ḳhayal aaya jahan
vahin payab samundar dekha
bas-ki mansub tha ik naam ke saath
mutma.in hi dil-e-‘aḳhgar’ dekha
Leave a Reply