tu mire gham se ashna kab tha
gham-zada huun tujhe pata kab tha
chitr tera koi bana kab tha
ik diya tha magar jala kab tha
aa to jaati tire qarib magar
koi aane ka rasta kab tha
aks kaise sambhal kar rakhti
TuuT kar aa.ina bacha kab tha
meri ḳhamoshiyon ko bolne ka
tu ne mauqa koi diya kab tha
dard ko kuchh dava bhi chahiye thi
dard ka koi silsila kab tha
Leave a Reply