tu mera dost mira yaar hai nahin hai kya
tire bhi dil men bahut pyaar hai nahin hai kya
zara si baat pe main tum se ruuTh jaata huun
ye mere ishq ka iz.har hai nahin hai kya
main apne aap se thoḌa bahut muta.assir huun
ye meri zaat ko azar hai nahin hai kya
yuun apne aap ko barbad karta hai koi
ai mere dil tu samajhdar hai nahin hai kya
vo ek shai jo kabhi aankh men nahin utri
tu bhi to us ka talabgar hai nahin hai kya
Leave a Reply