tu jism hai to mujh se lipaT kar kalam kar
ḳhushbu hai gar to dil men simaT kar kalam kar
main ajnabi nahin huun mujhe raund kar na ja
nazren mila ke dekh palaT kar kalam kar
bala-e-bam aane ka gar hausla nahin
palkon ki chilmanon men simaT kar kalam kar
qaus-e-quzah ke rang mayassar nahin to phir
dariya ki mauj mauj men baT kar kalam kar
jannat men ya to mujh ko purana maqam de
ya aa miri zamin men palaT kar kalam kar
anvar ‘sadid’ aam sa banda hai us ke saath
miTTi pe baiTh gard men aT kar kalam kar
Leave a Reply