tu agar beTiyan nahin likhta
to samajh khiḌkiyan nahin likhta
sardiyan jo thiin sab sahin main ne
dhuup ko arziyan nahin likhta
jab shahr puchhta nahin us ko
gaanv bhi chiTThiyan nahin likhta
main hava ke gunah ke badle
aag ki ghalatiyan nahin likhta
page saada hi chhoḌ deta huun
main kabhi talḳhiyan nahin likhta
is men bachche ka hai gunah kahan
vo agar titliyan nahin likhta
Leave a Reply