• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tohmat-E-Hasrat-E-Parwaz Na Mujh Par Bandhe

Tohmat-E-Hasrat-E-Parwaz Na Mujh Par Bandhe

poet

tohmat-e-hasrat-e-parvaz na mujh par bandhe

vaj.h kya khol ke sayyad ne phir par bandhe

baghban ghaat men sayyad hamesha maujud

ashiyan baagh men bulbul kaho kyunkar bandhe

jo chhuri dekh ke qassab ki tharrate the

shan-e-haq hai vahi ab phirte hain ḳhanjar bandhe

kal kiya tha jo mire chak-e-gareban men rafu

is ḳhata par ga.e hain aaj rafu-gar bandhe

ho chuka tha jo mire tez-pari se agah

chust kar ke mire sayyad ne shahpar bandhe

sho.ara kha.enge kya kya na abhi to dhoke

sarv bandhe koi us qad ko sanobar bandhe

mo.ajiza lab tira goya kare ai rashk-e-kalim

jo zaban sehr se ye chashm-e-fusun-gar bandhe

mutma.in baiTh tu sayyad na kar qaid-e-shadid

huun main paband-e-mohabbat tira be-par bandhe

bagh-e-alam men usi ke liye hai nashv-o-numa

surat-e-ghuncha rahe ganTh men jo zar bandhe

bosa manga jo shab-e-vasl to bola hans kar

kahin aisa na ho har roz ki tu kar bandhe

dil ki betabi se Tanke mire sab TuuT ga.e

paTTi jarrah kaho zaḳhm pe kyunkar bandhe

le to ja.ega ḳhat-e-shauq magar rashk ye hai

ashiyan baam par us ke na kabutar bandhe

ummati kya karen aljua na chilla.en agar

bhuuk men jabki nabi peT pe patthar bandhe

iftira karne men tufan hai vo shoḳh-e-zarif

tutiya taaza koi aur na mujh par bandhe

mujh sa mahram tire mahram ka na hoga koi

beshtar khol diye band aur akasr bandhe

dast-e-san.at se bane us ke agar tujh sa but

kyuun hava apni ḳhuda.i ki na aazar bandhe

sha.iri ke liye lazim hai talazum na chhuTe

la.al lab ko tire tu danton ko gauhar bandhe

pa-e-raftar agar hote to chalta-phirta

‘rind’ murda sa paḌa rahta na yuun sar bandhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Donon Taraf Hi Barson Ye Silsile Rahe The

ambarin-salahuddin

Hum Sitaron Mein Tera Aks Na dhalne denge

sameena-raja

Tisri Barish Se Pahle

parveen-fana-syed

Ba-Zahir Ye Jo Begane Bahut Hain

abbas-rizvi

Hum Tere Husn-e-Jahan-Tab Se dar Jate Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet