to phir vo ishq ye naqd-o-nazar barae-farokht
sukhan barae-hunar hai hunar barae-farokht
ayaan kiya hai tira raaz fi-sabilillah
khabar na thi ki hai ye bhi khabar barae-farokht
main qafile se bichhad kar bhala kahan jaun
sajae baitha huun zad-e-safar barae-farokht
parinde lad hi pade jaedad par akhir
shajar pe likkha hua hai shajar barae-farokht
main pahle kuufa gaya is ke baad misr gaya
idhar barae-shahadat udhar barae-farokht
zara ye dusra misraa durust farmaen
mire makan pe likkha hai ghar barae-farokht