Titliyan Jugnu Shajar KHushbu Parinde chhoD Kar

titliyāñ jugnū shajar ḳhushbū parinde chhoḌ kar

hañs rahī huuñ ḳhvāb saare maiñ adhūre chhoḌ kar

jis kī āñkhoñ ne likhā thā āḳhirī nauha mirā

vo gayā bhī to gayā hai sab se pahle chhoḌ kar

DhūñDhtī phirtī huuñ apne aap ko kuchh is tarah

aa ga.ī huuñ jis tarah maiñ ḳhud ko pīchhe chhoḌ kar

kāTne haiñ ratjage paḌhte hue dīvān-e-mīr

jāgnā hai umr bhar nīndeñ sirhāne chhoḌ kar

rah ga.iiñ vīrān kachchī sī saḌak par hichkiyāñ

chal paḌī gaaḌī kisī ke haath hilte chhoḌ kar

dekh le maiñ ne mukammal kar liye haiñ āḳhirash

tū gayā thā mujh meñ apne naqsh aadhe chhoḌ kar

Leave a Comment