tishnagi dil ki bujhana to ḳhabar kar dena
ashk ankhon men chhupana to ḳhabar kar dena
ham ne kuchh giit likhe hain jo sunana hain tumhen
tum kabhi bazm sajana to ḳhabar kar dena
hadse rah-e-mohabbat ka muqaddar Thahre
jab hamen dil se bhulana to ḳhabar kar dena
jin kitabon men chhupa.e hain mire ḳhat tum ne
un kitabon ko jalana to ḳhabar kar dena
aaj begana samajhte ho to samjho lekin
jab sata.e ye zamana to ḳhabar kar dena
main zarur a.unga ‘mansur’ tumhari ḳhatir
tum jo maqtal ko sajana to ḳhabar kar dena
Leave a Reply