vo mizha marti kaTari hai
chashm-e-baddur zaḳhm kaari hai
ankhen chamka gaya vo barq-asa
dil mira vaqf-e-be-qarari hai
qais bad-e-saba hai bu laila
shaḳh-e-gul naafe ki savari hai
zulf tak go na pahuncha shana-var
haath ko par umid-vari hai
dil pe chaḌhti nahin koi tadbir
meri taqdir vo utari hai
doston se hai un ki ayyari
aur a.ada se dost-dari hai
dam samajhta hai ai ‘vaqar’ vo shoḳh
meri do din se dam-shumari hai
Leave a Reply