• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tishna-Labon Ki Nazr Ko Saughat Chahiye

Tishna-Labon Ki Nazr Ko Saughat Chahiye

tishna-labon ki nazr ko saughat chahiye

tere nisar thoḌi si barsat chahiye

itna bhi mai-kade pe na pahre biTha.iye

kuchh to ḳhayal-e-ahl-e-ḳharabat chahiye

aapas ki guftugu men bhi kaTne lagi zaban

ab doston se tark-e-mulaqat chahiye

muddat se chashm-o-dil men koi rabta nahin

kya aur tujh ko gardish-e-halat chahiye

kis kis ḳhuda ke samne sajda nahin kiya

kuchh sharm kuchh to abru-e-zat chahiye

zikr-e-pari-vashan ke zamane guzar ga.e

ab to ghazal men hamd-o-munajat chahiye

insaf ki ye aankh ye suraj ki raushni

yarab yahi hai din to mujhe raat chahiye

ham chahte hain dahr men jiine ka haq mile

un ko subut-e-farruḳhi-e-zat chahiye

kuchh bhi ho maslahat ka taqaza magar nadim

jo dil men ho zaban pe vahi baat chahiye

ai zulf-e-naz koi hava-e-fusun ka daam

ahl-e-nazar ko sair-e-tilismat chahiye

tab-e-kamand-e-kakul-e-ḳham-dar hoshiyar

khul kar na har kisi pe inayat chahiye

‘tahir’ jaza-e-himmat-e-ali hai zulf-e-yar

zulfon se khelne ke liye haat chahiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hausle Mayus Zauq-E-Justuju Nakaam Hai

Do ghaDi baiThe the Zulf-E-Ambarin Ki Chhanw Mein

Suraj Hai Naya Chand Naya Tare Nae Hain

shakeel-badayuni

Unki Taswir dekh Kar

shad-azimabadi

Ab Bhi Ek Umr Pe Jine Ka Na Andaz Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet