thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gaya huun aram karte karte
andar sab aa gaya hai bahar ka bhi andhera
ḳhud raat ho gaya huun main shaam karte karte
ye umr thi hi aisi jaisi guzar di hai
badnam hote hote badnam karte karte
phansta nahin parinda hai bhi isi faza men
tang aa gaya huun dil ko yuun daam karte karte
kuchh be-ḳhabar nahin the jo jante hain mujh ko
main kuuch kar raha tha bisram karte karte
sar se guzar gaya hai paani to zor karta
sab rok rukte rukte sab thaam karte karte
kis ke tavaf men the aur ye din aa ga.e hain
kya ḳhaak thi ki jis ko ehram karte karte
jis moḌ se chale the pahunche hain phir vahin par
ik ra.egan safar ko anjam karte karte
aḳhir ‘zafar’ hua huun manzar se ḳhud hi gha.eb
uslub-e-ḳhas apna main aam karte karte
Leave a Reply