teri ulfat shoabada-parvaz hai
aarzu gar hai tamanna-saz hai
phir hadis-e-ishq ka aghaz hai
aaj phir goya zaban-e-raz hai
ganj-e-asrar-e-azal hai bagh-e-dahr
patta patta daftar-e-sad-raz hai
jaan de di un pe aur zinda rahe
apne marne ka naya andaz hai
hoshiyar ai navak-afgan hushiyar
tair-e-jan mail-e-parvaz hai
rukhsat ai aql-o-khirad hosh-o-havas
shauq-e-vasl-e-yar ka aghaz hai
mere naale sun ke farmate hain vo
ye usi ki dukh-bhari avaz hai
jis ko sab samjhe hain dasht-e-karbala
vo to maidan-e-niyaz-o-naz hai
zarre zarre men ayaan hone ke baad
aaj tak raz-e-haqiqat raaz hai
aap janche majma-e-ushshaq men
un men ‘bedam’ sa koi jan-baz hai
Leave a Reply