main jab se sach ko sach kahne laga huun
jahan ki aankh men chubhne laga huun
ujala banTne ki ye saza hai
anhariya chand sa ghaTne laga huun
bharam rakhna un ankhon ka ki jin ko
main roshan-dan sa lagne laga huun
main us kirdar ko ab ji sakunga
main us kirdar par marne laga huun
Leave a Reply