rakh-rakhav men koi ḳhvar nahin hota yaar
dost hote hain, har ik yaar nahin hota yaar
do ghaḌi baiTho mire paas, kaho kaisi ho
do ghaḌi baiThne se pyaar nahin hota yaar
yaar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai
jaan se yuun hi koi bezar nahin hota yaar
ruuh sunti hai mohabbat men badan bolte hain
lafz pairaya-e-iz.har nahin hota yaar
naukri, sha.iri, ghar-bar, zamana, qadren
ik mohabbat hi ka azar nahin hota yaar
ḳhush-dili aur hai aur ishq ka azar kuchh aur
pyaar ho jaa.e to iqrar nahin hota yaar
laḌkiyan lafz ki tasvir chhupa leti hain
un ka iz.har bhi iz.har nahin hota yaar
aadmi ishq men bhi ḳhud se nahin ghaT sakta
aadmi saya-e-divar nahin hota yar!!
gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan
jaan kar koi giraftar nahin hota yaar
yahi ham aap hain hasti ki kahani, is men
koi afsanvi kirdar nahin hota yaar
Leave a Reply