• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Taur Nahin Bachne Ka Zinhaar Hamara

Kuchh Taur Nahin Bachne Ka Zinhaar Hamara

poet

kuchh taur nahin bachne ka zinhar hamara

ji le hi ke javega ye azar hamara

kuche se tire kuuch hai ai yaar hamara

ji le hi chali hasrat-e-didar hamara

tu ham ko utha lijiyo us vaqt ilahi

jis vaqt uthe pahlu se dildar hamara

yaara hai kahan itna ki is yaar ko yaaro

main ye kahun ai yaar hai tu yaar hamara

ham padshah-e-mumlikat-e-ishq hain nahaq

mansur sa maara gaya sardar hamara

kah dijiyo makhuli ko ai gardish-e-talea

haan jaldi se la takht-e-hava-dar hamara

abru ki tiri bait ki kiya baat va-lekin

hai aah ka misra bhi dhuan-dar hamara

‘ehsan’ tu ghazal farsi hi apni kaha kar

dil rekhta tere se hai bezar hamara

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Ham-Rah Mere Ghar Pe Bhi Aafat Aai

Jafa Ki Us Se Shikayat Zara Nahin Aati

poet

Han KHud-Azar Hain Danista Saza Chahte Hain

poet

Sahabo Manzil-E-Jaanan Ki Taraf Jaana Mat

Ameer Khasro

Hazrat-Khwaja Sang Kheliye dhamal

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet