teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain
jan-e-jan teri nigahen mai-kada-bar-dosh hain
ishq men ahl-e-vafa kitne aziyyat-kosh hain
ḳhuun dil ka ho raha hai lab magar ḳhamosh hain
ai nigah-e-shauq kis manzil men le aa.i mujhe
donon aalam jalva-gah-e-yar men ru-posh hain
mujh ko tanha dekhne vaale na samjhen raz-e-ishq
meri tanha.i ke lamhe yaar ke aghosh hain
‘sarmad’-o-‘mansur’-o-‘shibli’ ki nazar se dekhiye
hosh vaale hain vahi duniya men jo behosh hain
lan-tarani ki sada par muskuraya tha koi
jitne zarre tuur men the aaj tak behosh hain
ai ‘fana’ bada-kashi men ye unhi ka hai karam
un ki mast ankhon se pi kar bhi sarapa hosh hain
Leave a Reply