• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai

Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai

tiri jabin pe miri sub.h ka sitara hai

tira vajud miri zaat ka ujala hai

harif-e-partav-e-mahtab hai jamal tira

kuchh aur lagta hai dilkash jo duur hota hai

mire yaqin ki ma.asumiyat ko mat Toko

miri nigah men har naqsh ik tamasha hai

nazar to aa.e koi raah zindagani ki

tamam alam-e-imkan ghubar-e-sahra hai

na aarzu se khula hai na justuju se khula

ye husn-e-raz jo har shai men kar-farma hai

gham-e-hayat raha hai hamara gahvara

ye ham se puchh dil-e-dard ashna kya hai

charagh le ke use DhunDne chala huun main

jo aftab ki manind ik ujala hai

jo ham ko bhuul ga.e un ko yaad kyuun kiije

tamam raat koi chupke chupke kahta hai

kahan kahan liye phirti hai zindagi ab tak

main us jagah huun jahan dhuup hai na saaya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Jaane Tere Mere Darmiyan Ab Kya Hai

shakeel-badayuni

Raqqasa-E-Hayat Se

poet

Raazdar-E-Dil-E-Betab Hua Karta Hai

bashir-badr

Chamak Rahi Hai Paron Mein Udan Ki Khushbu

poet

Mata-O-Mal Na De Daulat-E-Tabahi De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet