shukr hai ḳhairiyat se huun sahab
aap se aur kya kahun sahab
ab samajhne laga huun sud-o-ziyan
ab kahan mujh men vo junun sahab
zillat-e-zist ya shikast-e-zamir
ye sahun main ki vo sahun sahab
ham tumhen yaad karte ro lete
do-ghaḌi milta jo sukun sahab
shaam bhi Dhal rahi hai ghar bhi hai duur
kitni der aur main rukun sahab
ab jhukunga to TuuT ja.unga
kaise ab aur main jhukun sahab
kuchh rivayat ki gavahi par
kitna jurmana main bharun sahab
Leave a Reply