ruuTh kar aankh ke andar se nikal jaate hain
ashk bachchon ki tarah ghar se nikal jaate hain
sabz peḌon ko pata tak nahin chalta shayad
zard patte bhare manzar se nikal jaate hain
is guzargah-e-mohabbat men kahan aa gaya main
dost chup-chap barabar se nikal jaate hain
tum tarashe hue but ho kisi mehrab ke biich
ham zava.ed hain jo patthar se nikal jaate hain
sahili ret men kya aisi kashish hai ki guhar
siip men band samundar se nikal jaate hain
main tire hijr se niklunga to mar ja.unga
haa.e vo log jo mehvar se nikal jaate hain
aḳhirash sub.h-e-qayamat ki azaan aati hai
aur ham shaam ke lashkar se nikal jaate hain
Leave a Reply