• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Teri Hawas Mein Jo dil Se Puchha Nikal Ke Ghar Se Kidhar Ko Chaliye

Teri Hawas Mein Jo dil Se Puchha Nikal Ke Ghar Se Kidhar Ko Chaliye

poet

tiri havas men jo dil se puchha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye

tadap ke bola jidhar vo nikle shitab usi rahguzar ko chaliye

na chahiye kuchh adam ko le kar nikaliye hasti se jaan de kar

safar jo liije rah-e-khuda men luta ke zad-e-safar ko chaliye

azal se us ka hi aasra hai jo dene vaala muradon ka hai

barae-fil-faur umid-e-dil ko jo chumne us ke dar ko chaliye

idhar to taqdir so rahi hai udhar vo nabud ho rahi hai

visal ki shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sahar ko chaliye

jo haath ik phuul ko lagaen yaqin hai kanton men khinche jaaen

hamare haq men vo hove hanzal jo nosh karne samar ko chaliye

ajiib mushkil hai aah ai dil kathin hai bim-o-raja ki manzil

qadam qadam par ye sochte hain kidhar na chaliye kidhar ko chaliye

tiri judai men jan-e-alam kiya hai donon ko gham ne be-dam

banaiye ja ke dil ki turbat ki dafn karne jigar ko chaliye

hua hai vo shauq-e-did-bazi ki samjhen is ko bhi sarfarazi

bulaen ankhen vo phodne ko to nazr karne nazar ko chaliye

visal ki shab guzar gai hai jo aarzu thi vo mar gai hai

hamen to hichki lagi hui hai vo fikr men hain ki ghar ko chaliye

ye qaaf se qaaf tak hai shohrat karenge vo imtihan-e-vahshat

junun ka aalam ye kah raha hai yahin se takrate sar ko chaliye

jo subh-e-piri hui huvaida sada adam se hui ye paida

namaz padh ke na ab thahariye savere kasiye kamar ko chaliye

luta hai gulshan men ashiyana kahin hamara nahin thikana

qafas se chhut kar bhadak rahe hain ki tinke chunane kidhar ko chaliye

kami na dard-e-jigar men hogi ye ham se aisi ne guftugu ki

dava ko phir dhundiyega pahle talash karne asar ko chaliye

hamesha har saans ne hamari shab-e-judai men aarzu ki

kisi tarah se tire chaman men nasim ho kar sahar ko chaliye

charagh-e-bazm-e-khuda hua hai khuda ne mahbub use kaha hai

ye shaam se lau lagi hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye

hamara aansu vo be-baha hai nigah-e-hasrat men jach raha hai

manga ke ab us pe chaurahe men nisar karne guhar ko chaliye

su-e-falak kiije ru-e-taban ki chaudhvin shab pe hai ye nazan

dikha ke husn-e-shabab apna chakor karne qamar ko chaliye

kisi tarah se na hone paae hamare nalon ka faash parda

agarche shor-e-fughan ka apne sharik karne gajar ko chaliye

‘sharaf’ jo ham un pe jaan denge khabar hamari lahad men lenge

hila ke shana jala ke ham ko kahenge uthiye bhi ghar ko chaliye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo taDap Jae Ishaara Koi Aisa Dena

Wo shaKHs Bhi Hai Ajib-O-Gharib DhunDhta Hai

syeda-shan-e-meraj

Kya dekhta Hai Haal Ke Manzar Idhar Bhi dekh

Hum Ko Aisa Guman Hone Laga

Maulana Rumi

Az Kufr-O-Ze-Islam Barun Sahraist

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet