• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Teri Gali Mein Jo dhuni Ramae Baithe Hain

Teri Gali Mein Jo dhuni Ramae Baithe Hain

poet

tiri gali men jo dhuni ramae baithe hain

ajal-rsida hain marne ko aae baithe hain

karo hamari bhi khatir nikal ke parde se

ki mehman hain tumhare bulae baithe hain

hamari baghlon men bu-e-murad aati hai

tumhare pahlu men ham jab se aae baithe hain

diya jo itr unhin ashiqon ko mitti ka

kaha ki ham na malenge nahae baithe hain

utha ke bazm se khalvat men tum ko le jaate

ye sochte hain ki apne parae baithe hain

vo shab ko bazm men hans hans ke puchhte the hamen

ye kaun hain ki jo aansu bahae baithe hain

azal se hai ye do-alam men raushni jis ki

usi charagh se ham lau lagae baithe hain

bahar o nikhat-e-gul hoti hain nisar un par

chaman men rang vo apna jamae baithe hain

yahan bhi chain se sone na paenge afsos

mazar men bhi nakirain aae baithe hain

uthaoge hamen ab kya tum apni mahfil se

ham arzu-o-havas ke bithae baithe hain

bahar men nai sujhi hai un ko gustakhi

urus-e-bagh ka ghungat uthae baithe hain

farefta tiri is tirchhi tirchhi chitvan ke

chhuri kalejon men apne lagae baithe hain

hamare dafn-o-kafan ki bas ab karo tadbir

khabar bhi hai tumhen ham zahr khaae baithe hain

ye kuchh na samjhenge saudaiyon pe rahm karo

havas-o-hosh junun men udaae baithe hain

farishte dekhiye karte hain ham se kya pursish

mare pade the lahad men jilae baithe hain

faqir kyuun ye hue hain ‘sharaf’ se puchho to

bhabhut mal ke jo dhuni ramae baithe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aashna Koi Ba-Wafa Na Mila

Kis Etimad Se Ilzam Dhar Gae Apne

akbar-allahabadi

Ek Bosa dijiye Mera Iman Lijiye

nida-fazli

dhup mein niklo ghataon mein naha kar dekho

Yun Bhi Mera Bayan Alag Hai Kuchh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet