tiri barbadiyon ka zikr bazm-e-dil-bran tak hai
kahan ki baat hai ai dil magar pahunchi kahan tak hai
tu kya jaane mohabbat ke maze ai naseh-e-nadan
pahunch tiri nigahon ki faqat sud-o-ziyan tak hai
ham insan hain magar taḳhliq-e-a.ala hain ki ai hamdam
hamare auj ka charcha zamin se asman tak hai
mohabbat azmati hai mohabbat karne valon ko
ye saḳhti ai dil-e-betab tujh par imtihan tak hai
jahan men vaise to jiite hain sab lekin jo sach puchho
maza jiine ka duniya men bahar-e-dostan tak hai
koi jab dost kahta hai to sun leta huun ai ‘asi’
ki ab to dosti is ahd men husn-e-bayan tak hai
Leave a Reply